Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak

Sponsored Links

Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak;
Ham Pade Tadpa Kiye Do-Do Pahar Do Din Talak;

Dard-e-Dil Apna Sunata Hun Kabhi Jo Ek Din;
Rehta Hai Us Naazneen Ko Dard-e-Sar Do Din Talak;

Dekhte Hain Khwab Mein Jis Din Kisoo Kee Chashm-e-Mast;
Rehte Hain Hum Do Jahaan Se Bekhabar Do Din Talak;

Gar Yaqeen Ho Ye Humein Aayega Tu Do Din Ke Baad;
To Jiyen Hum Aur Is Ummeed Par Do Din Talak;

Kya Sabab Kya Vaasta Kya Kaam Tha Batalaiye;
Ghar Se Jo Nikale Na Apne Tum “Zafar” Do Din Talak!

Sponsored Links